Wednesday, January 7, 2009

Mat poocho...

mat poocho ye kaise hua hai
mat poocho ye kyon hua hai
ye bhagya ka khel hai
ya fir taaron ki maya hai
mat poocho

mat poocho kya hone wala hai
mat poocho kaun jab aane wala hai
kya dega tumhen aayega
ya fir jo hai wo bhi le jayega
mat poocho

mat poocho ishwar hai..ya nahi
mat poocho kya bhoot dekha hai kahin
kya sab kuch sirf maaya hai
ya fir kisi ne khel rachaaya hai
mat poocho

mat poocho ki yaad kyon aati hai
mat poocho ki kaise neend aati hai
kyon main sab bhool nahi paata hoon
ya dil ko samjha nahi paata hoon
mat poocho

gar poochna hai to ye poocho
yaadon ki dharohar to bator li hai
per kab tak ise sahej paonga
rishtey..poore...kuch adhoore
kya jode rakh paonga
vaade....chhote..bade..sache..jhoothe
kya main nibha paonga
sach-jhooth achai-buari ki aankh micholi mein
kya khud ko zinda rakh paonga
jo raat chin li maine usse
kya kabhi use wapas de paonga

No comments: