Friday, July 10, 2009
Kyon poochte ho
wo mela kyon yaad aata hai
kyon wo mucchchad choodiwala
reh reh kar awaaz lagata hai
sochoge kya hai us pal mein
jo laut hamesha aata hai
mano ya na mano main bhi
thaga sa reh jata hoon
jab bhi wo lamha mujhko
aise guhaar lagata hai
aasmaan se chhan kar boondein
jab bhi girne lagti hain
har baar mujhe bina bhoole se
wo chehra yaad aa jaata hai
hari ghaas per bahut door tak
ghanton chalna mere sang
fugge wale dahi pakode
bulbule yaad aa jate hain
tak taki bandhe meri aankhon mein
sochte muskurate poochte batiyaate
chamakte khelte sahejte bhatkate
wo naina yaad aa jate hain
gar yaad hamesha yoon hi aati
to bhi shayad achcha tha
per ye bhi uske jaisi hai
har baar dang kar jati hai
na jane kyon koshish kar bhi
saansein tez ho jatin hain
jab bhi ab bhi kabhi bhi
wo chehra yaad aa jaata hai
Sunday, February 22, 2009
We're outrageous
Wednesday, February 18, 2009
The look in the eye
Wednesday, January 7, 2009
Mat poocho...
mat poocho ye kaise hua hai
mat poocho ye kyon hua hai
ye bhagya ka khel hai
ya fir taaron ki maya hai
mat poocho
mat poocho kya hone wala hai
mat poocho kaun jab aane wala hai
kya dega tumhen aayega
ya fir jo hai wo bhi le jayega
mat poocho
mat poocho ishwar hai..ya nahi
mat poocho kya bhoot dekha hai kahin
kya sab kuch sirf maaya hai
ya fir kisi ne khel rachaaya hai
mat poocho
mat poocho ki yaad kyon aati hai
mat poocho ki kaise neend aati hai
kyon main sab bhool nahi paata hoon
ya dil ko samjha nahi paata hoon
mat poocho
gar poochna hai to ye poocho
yaadon ki dharohar to bator li hai
per kab tak ise sahej paonga
rishtey..poore...kuch adhoore
kya jode rakh paonga
vaade....chhote..bade..sache..jhoothe
kya main nibha paonga
sach-jhooth achai-buari ki aankh micholi mein
kya khud ko zinda rakh paonga
jo raat chin li maine usse
kya kabhi use wapas de paonga